ba-rang-e-sher gire aur bar bar gire
ba-rañg-e-sher gire aur baar baar gire
hamāre zehn pe kirnoñ ke ābshār gire
ġhamoñ kī raah meñ sābit-qadam haiñ dīvāne
bisāt-e-aish pe kitne nashāt-e-kār gire
chaman khulā to na.ī nik.hatoñ ke āñchal par
shaguft-e-gul se tire aks be-shumār gire
zamīn chāñd kā TukḌā hai jis kī zulmat par
ka.ī ujāle har ik shab sitāra-vār gire
hameñ bhī fursat-e-yak-ḳhvāb us fazā meñ jahāñ
kiran kiran lab-o-ruḳhsār kī phuvār gire
ubhar rahā hai jo mashriq ke har ḳharābe se
kise ḳhabar ki kahāñ jā ke ye ġhubār gire
ba-rang-e-sher gire aur bar bar gire
hamare zehn pe kirnon ke aabshaar gire
ghamon ki rah mein sabit-qadam hain diwane
bisat-e-aish pe kitne nashat-e-kar gire
chaman khula to nai nikhaton ke aanchal par
shaguft-e-gul se tere aks be-shumar gire
zamin chand ka TukDa hai jis ki zulmat par
kai ujale har ek shab sitara-war gire
hamein bhi fursat-e-yak-KHwab us faza mein jahan
kiran kiran lab-o-ruKHsar ki phuwar gire
ubhar raha hai jo mashriq ke har KHarabe se
kise KHabar ki kahan ja ke ye ghubar gire
- Book : Sarkashidah (Pg. 205)
- Author : Sahba Akhtar
- Publication : Maktaba-e-Nadeem ke airia ko rangi Karachi (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.