ba-sad-KHiram rah-e-zist par chala jata
ba-sad-ḳhirām rah-e-zīst par chalā jaatā
jo apne sīnoñ se ḳhauf-o-ḳhatar chalā jaatā
mirī anā ko agar choT na lagī hotī
maiñ tere dar pe bhī bār-e-digar chalā jaatā
chahār-sū mire dahshat kā daur-e-daurāñ thā
zarā jo sar ko uThātā to sar chalā jaatā
tumheñ to jaane kī jaldī thī mauj-e-fasl-e-bahār
zamīn chhoḌ ke kaise shajar chalā jaatā
ba-sad-KHiram rah-e-zist par chala jata
jo apne sinon se KHauf-o-KHatar chala jata
meri ana ko agar choT na lagi hoti
main tere dar pe bhi bar-e-digar chala jata
chahaar-su mere dahshat ka daur-e-dauran tha
zara jo sar ko uThata to sar chala jata
tumhein to jaane ki jaldi thi mauj-e-fasl-e-bahaar
zamin chhoD ke kaise shajar chala jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.