Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain

Waliullah Muhib

ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain

Waliullah Muhib

MORE BYWaliullah Muhib

    ba-tasḳhīr-e-butāñ tasbīh kyuuñ zāhid phirāte haiñ

    ye lohe ke chane vallāh āshiq chabāte haiñ

    banī hai juuñ guhar-sūrat suḳhan ahl-e-ma.anī se

    ye nādāñ kahne sunñe ko abas bāteñ banāte haiñ

    sadā se ishq lai bhar rahī hai jin ke kānoñ meñ

    vo kab sunte haiñ ye nāseh jo apnā raag gaate haiñ

    bahār aa.ī na chhūTe ham qafas se ham-safīr apne

    chaman meñ chahchahe karte haiñ aur dhūmeñ machāte haiñ

    ḳhudā se dostī terī magar ham ko milā degī

    sanam nā-haq tire ham roz naktonDe uThāte haiñ

    koī kaisā rūThā ho bulā lete haiñ ik pal meñ

    ye zālim ḳhūb-rū sammukh ho jab āñkheñ laḌāte haiñ

    sabā kis gul ke aane ḳhushī aisī hai gulshan meñ

    ki gul jaame meñ aaj apne nahīñ phūle samāte haiñ

    hañsāte haiñ tujhe sākin chaman ke kis ḳhushāmad se

    ki bulbul hai ġhazal-ḳhvāñ chuTkiyāñ ġhunche bajāte haiñ

    ham apne dil hālat kyā kaheñ bin maut marte haiñ

    tujhe Tuk dekh lete haiñ to goyā jaan paate haiñ

    garebāñ hamāre nāsehā mauqūf kar siinā

    ki ham siine apne zaḳhm-e-kārī kab silāte haiñ

    ummīd aane us ayyār ke ham ko nahīñ hargiz

    ḳhayāl-e-ḳhām par apnī abas chhātī pakāte haiñ

    tamāshā shaiḳh ke haal hai tohfa majlis meñ

    zañbūrī haiñ murīd aur chauk meñ bandar nachāte haiñ

    ham aisī goliyāñ kachchī nahīñ khele haiñ ye laḌke

    jo chuTiyāle hue haiñ Tīp-Tāp un ko dikhāte haiñ

    diloñ ke aa.ine ab ban ga.e haiñ sañg-o-āhan ke

    ki mil kar meñ jagah deñ bichhaḌ kar bhuul jaate haiñ

    bahut maare ga.e vaañ aur bahut zaḳhmī hue tis par

    'muhib' kūche meñ us ke aaj ham phir dil jalāte haiñ

    ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain

    ye lohe ke chane wallah aashiq hi chabaate hain

    bani hai jun guhar-surat suKHan ki ahl-e-mani se

    ye nadan kahne sunne ko abas baaten banate hain

    sada se ishq ki lai bhar rahi hai jin ke kanon mein

    wo kab sunte hain ye naseh jo apna rag gate hain

    bahaar aai na chhuTe hum qafas se ham-safir apne

    chaman mein chahchahe karte hain aur dhumen machate hain

    KHuda se dosti teri magar hum ko mila degi

    sanam na-haq tere hum roz naktonDe uThate hain

    koi kaisa hi ruTha ho bula lete hain ek pal mein

    ye zalim KHub-ru sammukh ho jab aankhen laDate hain

    saba kis gul ke aane ki KHushi aisi hai gulshan mein

    ki gul jame mein aaj apne nahin phule samate hain

    hansate hain tujhe sakin chaman ke kis KHushamad se

    ki bulbul hai ghazal-KHwan chuTkiyan ghunche bajate hain

    hum apne dil ki haalat kya kahen bin maut marte hain

    tujhe Tuk dekh lete hain to goya jaan pate hain

    gareban ka hamare naseha mauquf kar sina

    ki hum sine ka apne zaKHm-e-kari kab silate hain

    ummid aane ki us ayyar ke hum ko nahin hargiz

    KHayal-e-KHam par apni abas chhati pakate hain

    tamasha shaiKH ji ke haal ka hai tohfa majlis mein

    zanburi hain murid aur chauk mein bandar nachate hain

    hum aisi goliyan kachchi nahin khele hain ye laDke

    jo chuTiyale hue hain Tip-Tap un ko dikhate hain

    dilon ke aaine ab ban gae hain sang-o-ahan ke

    ki mil kar ji mein jagah den bichhaD kar bhul jate hain

    bahut mare gae wan aur bahut zaKHmi hue tis par

    'muhib' kuche mein us ke aaj hum phir dil jalate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now