ba-zahir dekhte hain to ziyaada kaam karta hun
ba-zāhir dekhte haiñ to ziyāda kaam kartā huuñ
magar haq baat kuchh yuuñ hai ki thoḌā kaam kartā huuñ
ab aage ḳhud samajh jaao maiñ kaisā kaam kartā huuñ
jo koī bhī nahīñ kartā hai vaisā kaam kartā huuñ
mohabbat meñ mujhe bāteñ banānā to nahīñ aatā
kabhī mauqa mile mujh ko to sīdhā kaam kartā huuñ
karānā chāhtā huuñ is tarah apnā hī koī kaam
yahāñ har vaqt jo maiñ ye tumhārā kaam kartā huuñ
na.ī hai peshkash aur phir kiyā hai naam bhī tabdīl
haqīqat meñ magar ab bhī purānā kaam kartā huuñ
vo mere saath jo karte haiñ vaisā to nahīñ koī
vo apnā kaam karte haiñ maiñ apnā kaam kartā huuñ
magar ab log kahte haiñ bhalā ye bhī hai koī kaam
kabhī ye log kahte the ki achchhā kaam kartā huuñ
ab aisā bhī nahīñ hai jo milā vo kar liyā maiñ ne
mirā me.aar hai ik aur suthrā kaam kartā huuñ
unheñ vo chhoḌ dete haiñ jo kuchh bhī to nahīñ karte
maiñ phañs jaatā huuñ 'gul' utnā hī jitnā kaam kartā huuñ
ba-zahir dekhte hain to ziyaada kaam karta hun
magar haq baat kuchh yun hai ki thoDa kaam karta hun
ab aage KHud samajh jao main kaisa kaam karta hun
jo koi bhi nahin karta hai waisa kaam karta hun
mohabbat mein mujhe baaten banana to nahin aata
kabhi mauqa mile mujh ko to sidha kaam karta hun
karana chahta hun is tarah apna hi koi kaam
yahan har waqt jo main ye tumhaara kaam karta hun
nai hai peshkash aur phir kiya hai nam bhi tabdil
haqiqat mein magar ab bhi purana kaam karta hun
wo mere sath jo karte hain waisa to nahin koi
wo apna kaam karte hain main apna kaam karta hun
magar ab log kahte hain bhala ye bhi hai koi kaam
kabhi ye log kahte the ki achchha kaam karta hun
ab aisa bhi nahin hai jo mila wo kar liya main ne
mera mear hai ek aur suthra kaam karta hun
unhen wo chhoD dete hain jo kuchh bhi to nahin karte
main phans jata hun 'gul' utna hi jitna kaam karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.