ba-zahir raunaqon mein bazm-arai mein jite hain
ba-zāhir raunaqoñ meñ bazm-ārā.ī meñ jiite haiñ
haqīqat hai ki ham tanhā haiñ tanhā.ī meñ jiite haiñ
sajā kar chār-sū rañgīñ mahal tere ḳhayāloñ ke
tirī yādoñ kī ra.anā.ī meñ zebā.ī meñ jiite haiñ
ḳhushā ham imtihān-e-dasht-gardī ke natīje meñ
ba-sad-e.ajāz mashq-e-ābla-pā.ī meñ jiite haiñ
sitam-gāroñ ne ā.īn-e-vafā mansūḳh kar Daalā
magar kuchh log abhī ummīd-e-ajrā.ī meñ jiite haiñ
ba-zahir raunaqon mein bazm-arai mein jite hain
haqiqat hai ki hum tanha hain tanhai mein jite hain
saja kar chaar-su rangin mahal tere KHayalon ke
teri yaadon ki ranai mein zebai mein jite hain
KHusha hum imtihan-e-dasht-gardi ke natije mein
ba-sad-eajaz mashq-e-abla-pai mein jite hain
sitam-garon ne aain-e-wafa mansuKH kar Dala
magar kuchh log abhi ummid-e-ajrai mein jite hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.