ba-zahir to tanawar dikh rahe hain
ba-zāhir to tanāvar dikh rahe haiñ
magar ye peḌ saare khokhle haiñ
ye kis sham.a kī chāhat meñ patiñge
barahna paañv sūraj par khaḌe haiñ
ġhazal kitnī apāhij ho ga.ī hai
ġhazal ke dast-o-bāzū kah rahe haiñ
darāreñ jism kī khulne lagī haiñ
lahū ke qatre bar-āmad hue haiñ
har ik jānib hai tārīkī kā jañgal
ujāle rāsta bhaTke hue haiñ
'navāz' us kī galī ke saare patthar
mujhe achchhī tarah pahchānte haiñ
ba-zahir to tanawar dikh rahe hain
magar ye peD sare khokhle hain
ye kis shama ki chahat mein patinge
barahna panw suraj par khaDe hain
ghazal kitni apahij ho gai hai
ghazal ke dast-o-bazu kah rahe hain
dararen jism ki khulne lagi hain
lahu ke qatre bar-amad hue hain
har ek jaanib hai tariki ka jangal
ujale rasta bhaTke hue hain
'nawaz' us ki gali ke sare patthar
mujhe achchhi tarah pahchante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.