ba-zahir un se nafrat ho rahi hai
ba-zāhir un se nafrat ho rahī hai
haqīqat meñ mohabbat ho rahī hai
zamīñ par aa rahe haiñ zalzale bhī
jo fitrat se baġhāvat ho rahī hai
utarte haiñ farishte rahmatoñ ke
mire ghar meñ tilāvat ho rahī hai
gunāhoñ se maiñ tauba kar rahā huuñ
mire dil meñ nadāmat ho rahī hai
muhib 'kausar' nizām-e-mustafā kī
zamāne ko zarūrat ho rahī hai
ba-zahir un se nafrat ho rahi hai
haqiqat mein mohabbat ho rahi hai
zamin par aa rahe hain zalzale bhi
jo fitrat se baghawat ho rahi hai
utarte hain farishte rahmaton ke
mere ghar mein tilawat ho rahi hai
gunahon se main tauba kar raha hun
mere dil mein nadamat ho rahi hai
muhib 'kausar' nizam-e-mustafa ki
zamane ko zarurat ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.