ba-wafa hun meri KHata hai ye
bā-vafā huuñ mirī ḳhatā hai ye
jī rahā huuñ mirī sazā hai ye
ik tabassum hazār-hā aañsū
ibtidā vo thī intihā hai ye
ġham bahut mohtaram hai mere liye
kyuuñ na ho aap kī atā hai ye
hijr kī lazzatoñ kā kyā kahnā
vo na aa.eñ mirī duā hai ye
dil mirā toḌ dījiye lekin
sochiye kis kā aa.ina hai ye
ba-wafa hun meri KHata hai ye
ji raha hun meri saza hai ye
ek tabassum hazar-ha aansu
ibtida wo thi intiha hai ye
gham bahut mohtaram hai mere liye
kyun na ho aap ki ata hai ye
hijr ki lazzaton ka kya kahna
wo na aaen meri dua hai ye
dil mera toD dijiye lekin
sochiye kis ka aaina hai ye
- Book : Tabshii.n (Pg. 96)
- Author : Aqeel ahmed
- Publication : Anjum Siddique (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.