bab-e-dil jab bhi wa hua apna
bāb-e-dil jab bhī vā huā apnā
us meñ nuqsān hī huā apnā
koī dil vaalā aa mile mujh se
dar hai rakkhā khulā huā apnā
naqsh-e-pā sabt haiñ luTeroñ ke
ghar se ġhā.eb hai rahnumā apnā
luT gayā sab hisāb kyā hogā
ġhair kā kyā thā aur kyā apnā
manziloñ kā nishān kahlā.e
ḳhuun uglā hai naqsh-e-pā apnā
dil ko taakā thā ai 'asar' maiñ ne
kyā nishāna huā ḳhatā apnā
bab-e-dil jab bhi wa hua apna
us mein nuqsan hi hua apna
koi dil wala aa mile mujh se
dar hai rakkha khula hua apna
naqsh-e-pa sabt hain luTeron ke
ghar se ghaeb hai rahnuma apna
luT gaya sab hisab kya hoga
ghair ka kya tha aur kya apna
manzilon ka nishan kahlae
KHun ugla hai naqsh-e-pa apna
dil ko taka tha ai 'asar' main ne
kya nishana hua KHata apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.