Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baad marne ke koi bosa-e-ruKHsat dega

aabid umar

baad marne ke koi bosa-e-ruKHsat dega

aabid umar

MORE BYaabid umar

    baa'd marne ke koī bosa-e-ruḳhsat degā

    kyā ḳhudā mujh ko bhī aisī bhalī qismat degā

    zindagī hai ye miyāñ ranj-o-alam to hoñge

    jo guzāregā vo lāzim hai ki qīmat degā

    farzī duniyā se nikal aur haqīqat likh de

    she'r parvāz karegā tujhe 'izzat degā

    dekh māyūs na ho kufr nahīñ kar pyāre

    be-dilī chhoḌ ḳhudā tujh ko bhī rāhat degā

    kar ga.ī 'umr akārat mirī haa.e haa.e

    ik ġhalat-fahmī ki mujh ko mohabbat degā

    kul milā ke hai asāsa mirā ye umr-e-ravāñ

    rad nahīñ hogī du'ā rab mirā barakat degā

    maiñ to samjhā thā mohabbat bulāvā hai 'umar'

    kyā ḳhabar thī vo mujhe maut dāvat degā

    ba'd marne ke koi bosa-e-ruKHsat dega

    kya KHuda mujh ko bhi aisi bhali qismat dega

    zindagi hai ye miyan ranj-o-alam to honge

    jo guzarega wo lazim hai ki qimat dega

    farzi duniya se nikal aur haqiqat likh de

    she'r parwaz karega tujhe 'izzat dega

    dekh mayus na ho kufr nahin kar pyare

    be-dili chhoD KHuda tujh ko bhi rahat dega

    kar gai 'umr akarat meri hae hae

    ek ghalat-fahmi ki tu mujh ko mohabbat dega

    kul mila ke hai asasa mera ye umr-e-rawan

    rad nahin hogi du'a rab mera barakat dega

    main to samjha tha mohabbat ka bulawa hai 'umar'

    kya KHabar thi wo mujhe maut ki dawat dega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now