Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baad muddat jo main ai charKH-e-kuhan yaad aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

baad muddat jo main ai charKH-e-kuhan yaad aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    ba.ad muddat jo maiñ ai charḳh-e-kuhan yaad aayā

    kyā sitam koī nayā mushfiq-e-man yaad aayā

    sher kahtā thā ki mazmūn-e-dahan yaad aayā

    ik muamma ye dam-e-fikr-e-suḳhan yaad aayā

    ahl-e-duniyā ko kisī din na huī fikr-e-adam

    kyā musāfir haiñ ki jin ko na vatan yaad aayā

    dekh kar abr-e-bahārī mirī nisbat badlī

    sehn-e-gulshan meñ dil-e-tauba-shikan yaad aayā

    rishta-e-jāñ meñ girah paḌ ga.ī uljhan ke sabab

    dil ko jab gesū-e-pur-pech-o-shikan yaad aayā

    ke sar-chashma-e-haivāñ jo phir aayā ulTā

    kyā 'sikandar' ko tirā chāh-e-zaqan yaad aayā

    miT ga.ī dil ke na hone se vo dāġhoñ bahār

    ai 'nazar' vaqt-e-ḳhizāñ ham ko chaman yaad aayā

    baad muddat jo main ai charKH-e-kuhan yaad aaya

    kya sitam koi naya mushfiq-e-man yaad aaya

    sher kahta tha ki mazmun-e-dahan yaad aaya

    ek muamma ye dam-e-fikr-e-suKHan yaad aaya

    ahl-e-duniya ko kisi din na hui fikr-e-adam

    kya musafir hain ki jin ko na watan yaad aaya

    dekh kar abr-e-bahaari meri nisbat badli

    sehn-e-gulshan mein dil-e-tauba-shikan yaad aaya

    rishta-e-jaan mein girah paD gai uljhan ke sabab

    dil ko jab gesu-e-pur-pech-o-shikan yaad aaya

    pa ke sar-chashma-e-haiwan jo phir aaya ulTa

    kya 'sikandar' ko tera chah-e-zaqan yaad aaya

    miT gai dil ke na hone se wo daghon ki bahaar

    ai 'nazar' waqt-e-KHizan hum ko chaman yaad aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now