baada-o-jam-o-pir-e-mai-KHana
bāda-o-jām-o-pīr-e-mai-ḳhāna
merā dil hai inhīñ kā dīvāna
yuuñ muzayyan ho bazm-e-rindāna
mai ho saaqī ho aur paimāna
josh-e-vahshat kī ye ināyat hai
dil ko bhāne lagā hai vīrāna
jo hamesha rahā qarīñ dil ke
aaj kyoñ ho rahā hai begāna
laakh tauba kī mai-kashī se 'naresh'
dil se niklī na yād-e-mai-ḳhāna
baada-o-jam-o-pir-e-mai-KHana
mera dil hai inhin ka diwana
yun muzayyan ho bazm-e-rindana
mai ho saqi ho aur paimana
josh-e-wahshat ki ye inayat hai
dil ko bhane laga hai virana
jo hamesha raha qarin dil ke
aaj kyon ho raha hai begana
lakh tauba ki mai-kashi se 'naresh'
dil se nikli na yaad-e-mai-KHana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.