baadal ban kar aate hain
bādal ban kar aate haiñ
aag lagā kar jaate haiñ
chhan-chhan barkhā barse to
sab mausam ghir aate haiñ
ghar meñ sūkhā paḌte hī
sab raste mar jaate haiñ
shor hai sāvan sāvan kā
ham āñkheñ barsāte haiñ
chāval roz nahīñ galte
bachche so so jaate haiñ
maañ kī mīThī lorī ab
mere aañsū gaate haiñ
ghar āñgan rasta bastī
ab to sab jhallāte haiñ
chauḌā siina sachchā.ī
ham kis din ghabrāte haiñ
baadal ban kar aate hain
aag laga kar jate hain
chhan-chhan barkha barse to
sab mausam ghir aate hain
ghar mein sukha paDte hi
sab raste mar jate hain
shor hai sawan sawan ka
hum aankhen barsate hain
chawal roz nahin galte
bachche so so jate hain
man ki miThi lori ab
mere aansu gate hain
ghar aangan rasta basti
ab to sab jhallate hain
chauDa sina sachchai
hum kis din ghabraate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.