baadal bhi hua zulf-e-siyah-fam sa kuchh kuchh
bādal bhī huā zulf-e-siyah-fām sā kuchh kuchh
ye din bhī nazar aane lagā shaam sā kuchh kuchh
phir yaad ne chheḌā hai koī dard kā naġhma
phir aane lagā hai mujhe ārām sā kuchh kuchh
thā koī to jo āñkhoñ meñ rahtā thā hamesha
haañ yaad to aatā hai koī naam sā kuchh kuchh
ye to kahīñ āḳhir meñ khulā 'ishq sazā hai
pahle to lagā thā mujhe in'ām sā kuchh kuchh
baadal bhi hua zulf-e-siyah-fam sa kuchh kuchh
ye din bhi nazar aane laga sham sa kuchh kuchh
phir yaad ne chheDa hai koi dard ka naghma
phir aane laga hai mujhe aaram sa kuchh kuchh
tha koi to jo aankhon mein rahta tha hamesha
han yaad to aata hai koi nam sa kuchh kuchh
ye to kahin aaKHir mein khula 'ishq saza hai
pahle to laga tha mujhe in'am sa kuchh kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.