baadal chhaTe to raat ka har zaKHm wa hua
bādal chhaTe to raat kā har zaḳhm vā huā
aañsū ruke to aañkh meñ mahshar bapā huā
sūkhī zamīñ pe bikhrī huī chand pattiyāñ
kuchh to batā nigār-e-chaman tujh ko kyā huā
aise baḌhe ki manzileñ raste meñ bichh ga.iiñ
aise ga.e ki phir na kabhī lauTnā huā
ai justujū kahāñ ga.e vo hausle tire
kis dasht meñ ḳharāb tirā qāfila huā
pahuñche pas-e-ḳhayāl to dekhā ki ret par
ḳhema thā ek phuul kī sūrat khilā huā
aa.ī shab-e-siyah to diye jhilmilā uThe
thā raushnī meñ shahr hamārā bujhā huā
baadal chhaTe to raat ka har zaKHm wa hua
aansu ruke to aankh mein mahshar bapa hua
sukhi zamin pe bikhri hui chand pattiyan
kuchh to bata nigar-e-chaman tujh ko kya hua
aise baDhe ki manzilen raste mein bichh gain
aise gae ki phir na kabhi lauTna hua
ai justuju kahan gae wo hausle tere
kis dasht mein KHarab tera qafila hua
pahunche pas-e-KHayal to dekha ki ret par
KHema tha ek phul ki surat khila hua
aai shab-e-siyah to diye jhilmila uThe
tha raushni mein shahr hamara bujha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.