bādal kī na be-nām navāzish kī taraf jā
is chhat se Tapaktī huī bārish kī taraf jā
in hoñToñ kī sūkhī huī papḌī ko nahīñ dekh
hoñToñ pe ubhartī huī ḳhvāhish kī taraf jā
ab tujh se bhī mujh ko koī ummīd nahīñ hai
beTe tū mirī āḳhirī ḳhvāhish kī taraf jā
apne liye logoñ meñ mohabbat ko nahīñ dekh
tū apne ḳhilāf apnī hī sāzish kī taraf jā
ro-ro ke tire apne tujhe qatl kareñge
jazbāt kī mat jhūTī numā.ish kī taraf jā
jā dekh tujhe kis tarah vo luuT rahā hai
ġhāfil kabhī dushman kī rihā.ish kī taraf jā
baadal ki na be-nam nawazish ki taraf ja
is chhat se Tapakti hui barish ki taraf ja
in honTon ki sukhi hui papDi ko nahin dekh
honTon pe ubharti hui KHwahish ki taraf ja
ab tujh se bhi mujh ko koi ummid nahin hai
beTe tu meri aaKHiri KHwahish ki taraf ja
apne liye logon mein mohabbat ko nahin dekh
tu apne KHilaf apni hi sazish ki taraf ja
ro-ro ke tere apne tujhe qatl karenge
jazbaat ki mat jhuTi numaish ki taraf ja
ja dekh tujhe kis tarah wo luT raha hai
ghafil kabhi dushman ki rihaish ki taraf ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.