baadal ki tarah ranj-fishani karen hum bhi
bādal kī tarah rañj-fishānī kareñ ham bhī
shāyad kabhī is aag ko paanī kareñ ham bhī
ab silsila-e-qissa-e-shab TuuT rahā hai
ab izn atā ho to kahānī kareñ ham bhī
ham ko bhī kabhī dekh havāoñ ke safar meñ
sahrā kī tarah naql-e-makānī kareñ ham bhī
aisā hai ki sikkoñ kī tarah mulk-e-suḳhan meñ
jaarī koī ik yaad purānī kareñ ham bhī
is lamha-e-ruḳhsat ke dhaḌak uThne se pahle
Thahre hue dil tujh ko nishānī kareñ ham bhī
baadal ki tarah ranj-fishani karen hum bhi
shayad kabhi is aag ko pani karen hum bhi
ab silsila-e-qissa-e-shab TuT raha hai
ab izn ata ho to kahani karen hum bhi
hum ko bhi kabhi dekh hawaon ke safar mein
sahra ki tarah naql-e-makani karen hum bhi
aisa hai ki sikkon ki tarah mulk-e-suKHan mein
jari koi ek yaad purani karen hum bhi
is lamha-e-ruKHsat ke dhaDak uThne se pahle
Thahre hue dil tujh ko nishani karen hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.