baadban ko gila hawaon se
bādbāñ ko gila havāoñ se
aur mujh ko hai nā-ḳhudāoñ se
dushmanoñ se bhī ab nahīñ laḌtā
pahle laḌtā thā maiñ havāoñ se
gaañv meñ lag rahā hai phir melā
bachche bichhḌeñge kitne maaoñ se
log mehnat ke beach bo.eñge
jab bhī fursat milī duāoñ se
habs se bujh gayā diyā ghar kā
maiñ bachātā rahā havāoñ se
mere khetoñ ko is dafa 'ārif'
kitnī ummīd thī ghaTāoñ se
baadban ko gila hawaon se
aur mujh ko hai na-KHudaon se
dushmanon se bhi ab nahin laDta
pahle laDta tha main hawaon se
ganw mein lag raha hai phir mela
bachche bichhDenge kitne maon se
log mehnat ke beach boenge
jab bhi fursat mili duaon se
habs se bujh gaya diya ghar ka
main bachata raha hawaon se
mere kheton ko is dafa 'arif'
kitni ummid thi ghaTaon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.