bagh-e-alam mein jahan naKHl-e-hina lagta hai
bagh-e-alam mein jahan naKHl-e-hina lagta hai
Shaikh Ibrahim Zauq
MORE BYShaikh Ibrahim Zauq
bāġh-e-ālam meñ jahāñ naḳhl-e-hinā lagtā hai
dil-e-pur-ḳhūñ kā vahāñ haath patā lagtā hai
kyā taḌapnā dil-e-bismil kā bhalā lagtā hai
ki jab uchhle hai tire siine se jā lagtā hai
dil kahāñ sair tamāshe pe mirā lagtā hai
jī ke lag jaane se jiinā bhī burā lagtā hai
jo havādis se zamāne ke girā phir na uThā
naḳhl āñdhī kā kahīñ ukhḌā huā lagtā hai
dil lagāne kā mazā hai ki gazak meñ us ke
sab kabāboñ se namak dil pe sivā lagtā hai
na shab-e-hijr meñ lagtī hai zabāñ taalū se
aur na pahlū mirā bistar se zarā lagtā hai
haa.e mohtāj huā marham-e-zañgār kā tū
zaḳhm-e-dil zahr mujhe hañsnā tirā lagtā hai
āb-e-ḳhanjar jo hai zahrāb vafādārī ko
paanī shāyad ki sar-e-mulk fanā lagtā hai
qad-e-majnūñ koī pahle se chhaḌī bed kī hai
jab zarā jhuktā hai qad paañv se jā lagtā hai
zard zāhid hai to kyā khoT abhī hai dil meñ
'zauq' us zar ko kasauTī pe kasā lagtā hai
bagh-e-alam mein jahan naKHl-e-hina lagta hai
dil-e-pur-KHun ka wahan hath pata lagta hai
kya taDapna dil-e-bismil ka bhala lagta hai
ki jab uchhle hai tere sine se ja lagta hai
dil kahan sair tamashe pe mera lagta hai
ji ke lag jaane se jina bhi bura lagta hai
jo hawadis se zamane ke gira phir na uTha
naKHl aandhi ka kahin ukhDa hua lagta hai
dil lagane ka maza hai ki gazak mein us ke
sab kababon se namak dil pe siwa lagta hai
na shab-e-hijr mein lagti hai zaban talu se
aur na pahlu mera bistar se zara lagta hai
hae mohtaj hua marham-e-zangar ka tu
zaKHm-e-dil zahr mujhe hansna tera lagta hai
aab-e-KHanjar jo hai zahrab wafadari ko
pani shayad ki sar-e-mulk fana lagta hai
qad-e-majnun koi pahle se chhaDi bed ki hai
jab zara jhukta hai qad panw se ja lagta hai
zard zahid hai to kya khoT abhi hai dil mein
'zauq' us zar ko kasauTi pe kasa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.