bagh-e-adan ke khilte gulabon ke sath tha
bāġh-e-adan ke khilte gulāboñ ke saath thā
maiñ ik hasīn jism ke ḳhvāboñ ke saath thā
mahrūmiyoñ kā faiz azāboñ ke saath thā
ye silsila ġhamoñ kī kitāboñ ke saath thā
maiñ sun rahā thā apnī sadāoñ kī bāzgasht
lekin dimāġh fan ke rabāboñ ke saath thā
har buuñd garche apne lahū kī huī safed
paanī zarā sā phir bhī sarāboñ ke saath thā
the hādsoñ ke shahr meñ sab us ke mo'taqid
vo jo hamesha ḳhāna-ḳharāboñ ke saath thā
shohrat kā har gulāb huā ġharq-e-āb jab
'jāmī' tirā vajūd habāboñ ke saath thā
bagh-e-adan ke khilte gulabon ke sath tha
main ek hasin jism ke KHwabon ke sath tha
mahrumiyon ka faiz azabon ke sath tha
ye silsila ghamon ki kitabon ke sath tha
main sun raha tha apni sadaon ki bazgasht
lekin dimagh fan ke rababon ke sath tha
har bund garche apne lahu ki hui safed
pani zara sa phir bhi sarabon ke sath tha
the hadson ke shahr mein sab us ke mo'taqid
wo jo hamesha KHana-KHarabon ke sath tha
shohrat ka har gulab hua gharq-e-ab jab
'jami' tera wajud hababon ke sath tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.