bagh-e-dil mein koi ghuncha na khila tere baad
bāġh-e-dil meñ koī ġhuncha na khilā tere baa'd
bhuul kar aa.ī na is samt sabā tere baa'd
terī zulfoñ kī mahak tere badan kī ḳhushbū
DhūñDhtī phirtī hai ik paglī havā tere baa'd
vahī mele vahī panghaT vahī jhūle vahī giit
gaañv meñ par koī tujh sā na milā tere baa'd
andhī rātoñ kī siyāhī mirā maqdūr huī
koī taarā mire āñgan na girā tere baa'd
de diyā apne dil-o-jān kā ik ik qatra
aur kyā chāhtī hai terī sadā tere baa'd
jism merā thā magar ruuh kā mālik thā aur
kaisī 'ayyārī kā ye raaz khulā tere baa'd
had-e-imkān talak kirneñ vafā kī bikhreñ
jism merā ka.ī zaḳhmoñ se sajā tere baa'd
tū hī ġhālib nahīñ ik jaur-e-falak kā maarā
mere ghar aayā hai tūfān-e-balā tere baa'd
kisī ḳhush-fahmī meñ rahtā hai tū badnām-'nazar'
kaun rakkhegā tujhe yaad bhalā tere baa'd
bagh-e-dil mein koi ghuncha na khila tere ba'd
bhul kar aai na is samt saba tere ba'd
teri zulfon ki mahak tere badan ki KHushbu
DhunDhti phirti hai ek pagli hawa tere ba'd
wahi mele wahi panghaT wahi jhule wahi git
ganw mein par koi tujh sa na mila tere ba'd
andhi raaton ki siyahi mera maqdur hui
koi tara mere aangan na gira tere ba'd
de diya apne dil-o-jaan ka ek ek qatra
aur kya chahti hai teri sada tere ba'd
jism mera tha magar ruh ka malik tha aur
kaisi 'ayyari ka ye raaz khula tere ba'd
had-e-imkan talak kirnen wafa ki bikhren
jism mera kai zaKHmon se saja tere ba'd
tu hi ghaalib nahin ek jaur-e-falak ka mara
mere ghar aaya hai tufan-e-bala tere ba'd
kisi KHush-fahmi mein rahta hai tu badnam-'nazar'
kaun rakkhega tujhe yaad bhala tere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.