bagh-e-jahan mein sarw sa gardan-kashida hun
bāġh-e-jahāñ meñ sarv sā gardan-kashīda huuñ
dāman ta.alluqāt se aalam ke chīda huuñ
is qāfila ko naala sunāne kā zauq niiñ
misl-e-jaras ke maiñ na dahān-e-darīda huuñ
niiñ bhūlne kā misl-e-jaras kī fuġhāñ ke ta.iiñ
nālāñ huuñ dil agarche lab-e-ārmīda huuñ
bismil huuñ dil-figār huuñ aur jāñ-ba-lab huuñ aah
sūrat ayaañ hai naale kī halq-e-burīda huuñ
rakhtā huuñ is liye dil-e-sozāñ o chashm-e-tar
jiyūñ sham.a dard-e-dāġh se ishq-āfrīda huuñ
bagh-e-jahan mein sarw sa gardan-kashida hun
daman talluqat se aalam ke chida hun
is qafila ko nala sunane ka zauq nin
misl-e-jaras ke main na dahan-e-darida hun
nin bhulne ka misl-e-jaras ki fughan ke tain
nalan hun dil agarche lab-e-armida hun
bismil hun dil-figar hun aur jaan-ba-lab hun aah
surat ayan hai nale ki halq-e-burida hun
rakhta hun is liye dil-e-sozan o chashm-e-tar
jiyun shama dard-e-dagh se ishq-afrida hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.