bagh se jhule utar gae
baaġh se jhūle utar ga.e
sundar chehre utar ga.e
laTak ga.e dīvār se ham
sīḌhī vaale utar ga.e
ghar meñ kis kā paañv paḌā
chhat ke jaale utar ga.e
bheñT chaḌhe tum ujlat kī
peḌ se kachche utar ga.e
vasl ke ek hī jhoñke meñ
kaan se baale utar ga.e
bhāgūñ vaalī bastī thī
jahāñ parinde utar ga.e
ik din aisā hosh aayā
saare nashe utar ga.e
bagh se jhule utar gae
sundar chehre utar gae
laTak gae diwar se hum
siDhi wale utar gae
ghar mein kis ka panw paDa
chhat ke jale utar gae
bhenT chaDhe tum ujlat ki
peD se kachche utar gae
wasl ke ek hi jhonke mein
kan se baale utar gae
bhagun wali basti thi
jahan parinde utar gae
ek din aisa hosh aaya
sare nashe utar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.