bagh tak kya karwan-e-husn-e-be-parwa gaya
baaġh tak kyā kārvān-e-husn-e-be-parvā gayā
bū pareshāñ hai ruḳh-e-gul ko pasīna aa gayā
merā sāġhar is tarah chhalkā ki dil ghabrā gayā
us pe saaqī kā ye farmānā ki terā kyā gayā
shauq kī duniyā nirālī hai ki rāh-e-shauq meñ
kārvāñ jitnā luTā zauq-e-ziyāñ baḌhtā gayā
be-kasī phir DhūñDhtī thī aasrā tūfān meñ
aap kā ism-e-girāmī mere lab par aa gayā
intihā pākīzgī kī us pe ye husn-e-libās
bū-e-gul ko jaama barg-e-tāza kā baḳhshā gayā
nāḳhudā sāhil kā sāthī thā use tūfāñ se kaam
nāḳhudā ko chhoḌ kar maiñ mauj tak tanhā gayā
chashm-e-fitrat hai bahār-e-ġhuncha-o-gul kī kafīl
abr uTThā jhuum kar barsā chaman lahrā gayā
bagh tak kya karwan-e-husn-e-be-parwa gaya
bu pareshan hai ruKH-e-gul ko pasina aa gaya
mera saghar is tarah chhalka ki dil ghabra gaya
us pe saqi ka ye farmana ki tera kya gaya
shauq ki duniya nirali hai ki rah-e-shauq mein
karwan jitna luTa zauq-e-ziyan baDhta gaya
be-kasi phir DhunDhti thi aasra tufan mein
aap ka ism-e-girami mere lab par aa gaya
intiha pakizgi ki us pe ye husn-e-libas
bu-e-gul ko jama barg-e-taza ka baKHsha gaya
naKHuda sahil ka sathi tha use tufan se kaam
naKHuda ko chhoD kar main mauj tak tanha gaya
chashm-e-fitrat hai bahaar-e-ghuncha-o-gul ki kafil
abr uTTha jhum kar barsa chaman lahra gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.