bahar to kar raha hun main aaraishen bahut
bāhar to kar rahā huuñ maiñ ārā.isheñ bahut
andar haiñ par makān ke ālā.isheñ bahut
tū hai ki tere saath haiñ āsā.isheñ bahut
maiñ huuñ ki mere saath marīñ ḳhvāhisheñ bahut
naqsh-o-nigār kyā yahāñ dīvār-o-dar nahīñ
shāyad ki is makāñ pe raheñ bārisheñ bahut
ham the ki apnī zaat ke jangal meñ gum rahe
thiiñ arsa-e-hayāt meñ gunjā.isheñ bahut
apnā vajūd raah kā patthar samajh ke maiñ
apne ḳhilāf kartā rahā sāzisheñ bahut
kuchh ghar chamak uThe to ka.ī ghar jhulas ga.e
rusvā haiñ āftāb tirī tābisheñ bahut
har lamha ik nashāt hai zāhir kā mel-jol
gahre hoñ rasm-o-rāh to phir ranjisheñ bahut
apnā bhī le tū gaañv kī saada sī zindagī
'shāhid' abas haiñ shahr meñ zebā.isheñ bahut
bahar to kar raha hun main aaraishen bahut
andar hain par makan ke aalaishen bahut
tu hai ki tere sath hain aasaishen bahut
main hun ki mere sath marin KHwahishen bahut
naqsh-o-nigar kya yahan diwar-o-dar nahin
shayad ki is makan pe rahen barishen bahut
hum the ki apni zat ke jangal mein gum rahe
thin arsa-e-hayat mein gunjaishen bahut
apna wajud rah ka patthar samajh ke main
apne KHilaf karta raha sazishen bahut
kuchh ghar chamak uThe to kai ghar jhulas gae
ruswa hain aaftab teri tabishen bahut
har lamha ek nashat hai zahir ka mel-jol
gahre hon rasm-o-rah to phir ranjishen bahut
apna bhi le tu ganw ki sada si zindagi
'shahid' abas hain shahr mein zebaishen bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.