Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bais-e-arz-e-hunar karb-e-nihani nikla

Aqeel Shadab

bais-e-arz-e-hunar karb-e-nihani nikla

Aqeel Shadab

MORE BYAqeel Shadab

    bā.is-e-arz-e-hunar karb-e-nihānī niklā

    lafz mamba-e-dariyā-e-ma.ānī niklā

    sab ke hoñToñ ko chhuā abr-e-ravāñ ne lekin

    mere hisse na dariyāoñ meñ paanī niklā

    kaun hotā hai sharīk-e-safar-e-tanhā.ī

    merā saaya mirā dushman-e-jānī niklā

    zindagī jis ke tasavvur meñ basar ham ne

    haa.e vo shaḳhs haqīqat meñ kahānī niklā

    jis ke siine meñ bhī 'shādāb' utar kar dekhā

    taḳhta-e-mashq-e-sitam haa.e girānī niklā

    bais-e-arz-e-hunar karb-e-nihani nikla

    lafz hi mamba-e-dariya-e-maani nikla

    sab ke honTon ko chhua abr-e-rawan ne lekin

    mere hisse ka na dariyaon mein pani nikla

    kaun hota hai sharik-e-safar-e-tanhai

    mera saya hi mera dushman-e-jaani nikla

    zindagi jis ke tasawwur mein basar ki hum ne

    hae wo shaKHs haqiqat mein kahani nikla

    jis ke sine mein bhi 'shadab' utar kar dekha

    taKHta-e-mashq-e-sitam hae girani nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now