baam-o-dar par rengti parchhaiyan
bām-o-dar par reñgtī parchhā.iyāñ
mujh se ab mānūs haiñ tanhā.iyāñ
ab samundar bhī bahut sat.hī hue
ab rahīñ in meñ na vo gahrā.iyāñ
ḳhāna-e-dil ko karo ābād phir
mujh ko lauTā do vahī ra.anā.iyāñ
ik thakan sī jism par taarī huī
TuuT kar girne lagīñ parchhā.iyāñ
baam-o-dar par rengti parchhaiyan
mujh se ab manus hain tanhaiyan
ab samundar bhi bahut sathi hue
ab rahin in mein na wo gahraiyan
KHana-e-dil ko karo aabaad phir
mujh ko lauTa do wahi ranaiyan
ek thakan si jism par tari hui
TuT kar girne lagin parchhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.