bandhte shaeri mein ho til ko
bāñdhte shā.erī meñ ho til ko
kyā koī raas aa gayā dil ko
jāntī haiñ ki ab vidā.ī hai
kashtiyāñ chūmtī haiñ sāhil ko
kaam sab ho ga.e mire āsāñ
kaun samjhegā merī mushkil ko
paañv meñ aañkh to nahīñ phir bhī
dekhte haiñ qadam ye manzil ko
shaam hai maiñ huuñ band kamra hai
DhūñDhte haiñ charāg mahfil ko
ġham se ik umr ke marāsim haiñ
toḌ duuñ kaise maiñ salāsil ko
dekh kar ro paḌā mirī hālat
kaun sā ġham hai mere qātil ko
bandhte shaeri mein ho til ko
kya koi ras aa gaya dil ko
jaanti hain ki ab widai hai
kashtiyan chumti hain sahil ko
kaam sab ho gae mere aasan
kaun samjhega meri mushkil ko
panw mein aankh to nahin phir bhi
dekhte hain qadam ye manzil ko
sham hai main hun band kamra hai
DhunDhte hain charag mahfil ko
gham se ek umr ke marasim hain
toD dun kaise main salasil ko
dekh kar ro paDa meri haalat
kaun sa gham hai mere qatil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.