bani-e-be-dad bhi tum tum sitam-ijad bhi
bānī-e-be-dād bhī tum tum sitam-ījād bhī
sab gavārā hai agar sun lo mirī fariyād bhī
is qadar baḌhtā chalā jaatā hai dil kā iztirāb
bā.is-e-rāhat nahīñ hai ab tumhārī yaad bhī
aur hoñge jin ko shikva hai tirī bedād kā
ham vo haiñ jin ko ġhanīmat hai tirī bedād bhī
husn-e-sīrat hī ik aisā husn is duniyā meñ hai
dekh saktā hai jise har kor-e-mādar-zād bhī
ik vo aañsū jo sar-e-mizhgāñ nikal kar aa gayā
'ishq kī tafsīr bhī hai husn kī rūdād bhī
maiñ ne donoñ se nibāhī is tarah hañs-bol kar
bāġhbāñ bhī yaad kartā hai mujhe sayyād bhī
miT chukī thī ek muddat se tumhārī aarzū
rafta rafta miT rahī hai ab tumhārī yaad bhī
ham ne is ḳhūbī se likkhā hai fasāna 'ishq kā
log kahte haiñ isī ko husn kī rūdād bhī
ik faqat daane kī ḳhātir kaun hotā hai asiir
ham ko thā kuchh ehtirām-e-koshish-e-sayyād bhī
terī ḳhātir ye bhī 'sāhir' ne gavārā kar liyā
varna hotā hai ḳhushī se kyā koī barbād bhī
bani-e-be-dad bhi tum tum sitam-ijad bhi
sab gawara hai agar sun lo meri fariyaad bhi
is qadar baDhta chala jata hai dil ka iztirab
bais-e-rahat nahin hai ab tumhaari yaad bhi
aur honge jin ko shikwa hai teri bedad ka
hum wo hain jin ko ghanimat hai teri bedad bhi
husn-e-sirat hi ek aisa husn is duniya mein hai
dekh sakta hai jise har kor-e-madar-zad bhi
ek wo aansu jo sar-e-mizhgan nikal kar aa gaya
'ishq ki tafsir bhi hai husn ki rudad bhi
main ne donon se nibahi is tarah hans-bol kar
baghban bhi yaad karta hai mujhe sayyaad bhi
miT chuki thi ek muddat se tumhaari aarzu
rafta rafta miT rahi hai ab tumhaari yaad bhi
hum ne is KHubi se likkha hai fasana 'ishq ka
log kahte hain isi ko husn ki rudad bhi
ek faqat dane ki KHatir kaun hota hai asir
hum ko tha kuchh ehtiram-e-koshish-e-sayyaad bhi
teri KHatir ye bhi 'sahir' ne gawara kar liya
warna hota hai KHushi se kya koi barbaad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.