bani-e-shahr-e-sitam mazlum kaise ho gaya
bānī-e-shahr-e-sitam mazlūm kaise ho gayā
kal jo mujrim thā vo ab ma.asūm kaise ho gayā
mohtasib sach sach batā ḳhalvat meñ kyā saudā huā
mudda.ī insāf se mahrūm kaise ho gayā
tā.ir-e-āzād zer-e-dām kaise aa gayā
vo ḳhayāl-e-muntashir manzūm kaise ho gayā
kyuuñ sharāfat ko himāqat kā diyā logoñ ne naam
fitna-e-shar ḳhair se mausūm kaise ho gayā
kis tarah ahl-e-junūñ ahl-e-ḳhirad samjhe ga.e
aql kā dīvāngī mafhūm kaise ho gayā
mujh se milnā to tujhe mushkil thā ai matlab ke yaar
ab mire ghar kā pata ma.alūm kaise ho gayā
kyā haiñ asbāb-e-zavāl-e-muslim-e-āshufta-hāl
kal jo hākim thā vo ab mahkūm kaise ho gayā
jo ye kahtā thā ki maiñ huuñ ik nishān-e-lā-zavāl
naqsh-e-fānī kī tarah ma.adūm kaise ho gayā
bol ai taa.ib miTā naqsh-e-suvaidā kis tarah
lauh-e-dil par lafz-e-haq marqūm kaise ho gayā
qaum kā qaa.id hai vo jo is kā ḳhidmat-gār hai
jis ne ḳhidmat hī na kī maḳhdūm kaise ho gayā
bhar diye auhām kis ne zehn-e-millat meñ 'jalāl'
chashma-e-āb-e-baqā masmūm kaise ho gayā
bani-e-shahr-e-sitam mazlum kaise ho gaya
kal jo mujrim tha wo ab masum kaise ho gaya
mohtasib sach sach bata KHalwat mein kya sauda hua
muddai insaf se mahrum kaise ho gaya
tair-e-azad zer-e-dam kaise aa gaya
wo KHayal-e-muntashir manzum kaise ho gaya
kyun sharafat ko himaqat ka diya logon ne nam
fitna-e-shar KHair se mausum kaise ho gaya
kis tarah ahl-e-junun ahl-e-KHirad samjhe gae
aql ka diwangi mafhum kaise ho gaya
mujh se milna to tujhe mushkil tha ai matlab ke yar
ab mere ghar ka pata malum kaise ho gaya
kya hain asbab-e-zawal-e-muslim-e-ashufta-haal
kal jo hakim tha wo ab mahkum kaise ho gaya
jo ye kahta tha ki main hun ek nishan-e-la-zawal
naqsh-e-fani ki tarah madum kaise ho gaya
bol ai taib miTa naqsh-e-suwaida kis tarah
lauh-e-dil par lafz-e-haq marqum kaise ho gaya
qaum ka qaid hai wo jo is ka KHidmat-gar hai
jis ne KHidmat hi na ki maKHdum kaise ho gaya
bhar diye auham kis ne zehn-e-millat mein 'jalal'
chashma-e-ab-e-baqa masmum kaise ho gaya
- Book : Urdu Adab (Pg. 54)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
- Edition : Jan, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.