barha dil toDna achchha nahin
bārhā dil toḌnā achchhā nahīñ
maan jaao rūThnā achchhā nahīñ
zindagī har moḌ par ġham de chukī
ab tirā muñh phernā achchhā nahīñ
haath ko hāthoñ meñ lenā Thiik par
chūḌiyoñ ko toḌnā achchhā nahīñ
ġhair se milnā gavārā hai tumheñ
bas hamārā sāmnā achchhā nahīñ
ishq ko sanjīdgī se lo miyāñ
ishq meñ ye bachpanā achchhā nahīñ
jītnā mushkil hai lekin hijr se
yuuñ musalsal hārnā achchhā nahīñ
barha dil toDna achchha nahin
man jao ruThna achchha nahin
zindagi har moD par gham de chuki
ab tera munh pherna achchha nahin
hath ko hathon mein lena Thik par
chuDiyon ko toDna achchha nahin
ghair se milna gawara hai tumhein
bas hamara samna achchha nahin
ishq ko sanjidgi se lo miyan
ishq mein ye bachpana achchha nahin
jitna mushkil hai lekin hijr se
yun musalsal haarna achchha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.