barha tujhse kaha tha mujhe apna na bana
bārhā tujh se kahā thā mujhe apnā na banā
ab mujhe chhoḌ ke duniyā meñ tamāsha na banā
ik yahī dukh mire marne ke liye kaafī hai
jaisā tū chāhtā thā mujh ko maiñ vaisā na banā
ek baat aur pate kī maiñ batā.ūñ tujh ko
āḳhirat bantī chalī jā.egī duniyā na banā
jaan se jā.eñge ham donoñ hī tū bhī maiñ bhī
maiñ to kahtā thā merī jaañ mujhe apnā na banā
ye ḳhudā ban ke ri.āyat nahīñ karte haiñ 'vasī'
husn vāloñ ko kabhī qibla-o-ka.aba na banā
barha tujh se kaha tha mujhe apna na bana
ab mujhe chhoD ke duniya mein tamasha na bana
ek yahi dukh mere marne ke liye kafi hai
jaisa tu chahta tha mujh ko main waisa na bana
ek baat aur pate ki main bataun tujh ko
aaKHirat banti chali jaegi duniya na bana
jaan se jaenge hum donon hi tu bhi main bhi
main to kahta tha meri jaan mujhe apna na bana
ye KHuda ban ke riayat nahin karte hain 'wasi'
husn walon ko kabhi qibla-o-kaba na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.