barish hogi to barish mein donon mil kar bhigenge
bārish hogī to bārish meñ donoñ mil kar bhīgeñge
ret pe ek musāfir kā ghar aur samundar bhīgeñge
achchhā maiñ haarā tum jiite aage kī ik baat suno
ab ke baras jab bārish hogī soch samajh kar bhīgeñge
dhuup kā ik TukḌā kyuuñ mere sar par saaya kartā hai
kyā mujh ko manzar se haTā kar saare manzar bhīgeñge
kāġhaz kī ik kashtī le kar bārish meñ kyuuñ nikle ho
bhūle-bisre bachpan kī yādoñ ke paikar bhīgeñge
achchhe logoñ kī bastī meñ tum kyuuñ rahne aa.e ho
yaañ hoñToñ par phuul khileñge ḳhuun meñ ḳhanjar bhīgeñge
us din kī jab bārish hogī kaun bachegā ham-safaro
phuul parind charāġh jazīre kañkar patthar bhīgeñge
ik fānūs hai jis meñ apnī ruuh 'matīn' sulagtī hai
bhīgnā jab Thahrā to usī fānūs ke andar bhīgeñge
barish hogi to barish mein donon mil kar bhigenge
ret pe ek musafir ka ghar aur samundar bhigenge
achchha main haara tum jite aage ki ek baat suno
ab ke baras jab barish hogi soch samajh kar bhigenge
dhup ka ek TukDa kyun mere sar par saya karta hai
kya mujh ko manzar se haTa kar sare manzar bhigenge
kaghaz ki ek kashti le kar barish mein kyun nikle ho
bhule-bisre bachpan ki yaadon ke paikar bhigenge
achchhe logon ki basti mein tum kyun rahne aae ho
yan honTon par phul khilenge KHun mein KHanjar bhigenge
us din ki jab barish hogi kaun bachega ham-safaro
phul parind charagh jazire kankar patthar bhigenge
ek fanus hai jis mein apni ruh 'matin' sulagti hai
bhigna jab Thahra to usi fanus ke andar bhigenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.