barish ka hai aisa kal
bārish kā hai aisā kaal
sūkhe paḌe haiñ dil ke taal
ye hī mere dukh sukh haiñ
kapḌā lattā aaTā daal
dillī kā taḳhta ulTā
dil kī jamī hai magar chaupāl
ā.inda kī fikr na kar
varna dekh le merā haal
aañsū piinā ġham khānā
kaafī hai ye rizq-e-halāl
duniyā aur duniyā kī chaah
jhūTā dariyā naqlī jaal
dil kā guzārā kaise ho
saare yaar hue kañgāl
jīvan nañgā parbat hai
kaThin chaḌhā.ī beDhab Dhaal
aag se yaarī mat karnā
aise dil ko bhaaḌ meñ Daal
miTTī ko parvā hī nahīñ
kis kā chāñd hai kis kā laal
barish ka hai aisa kal
sukhe paDe hain dil ke tal
ye hi mere dukh sukh hain
kapDa latta aaTa dal
dilli ka taKHta ulTa
dil ki jami hai magar chaupal
aainda ki fikr na kar
warna dekh le mera haal
aansu pina gham khana
kafi hai ye rizq-e-halal
duniya aur duniya ki chah
jhuTa dariya naqli jal
dil ka guzara kaise ho
sare yar hue kangal
jiwan nanga parbat hai
kaThin chaDhai beDhab Dhaal
aag se yari mat karna
aise dil ko bhaD mein Dal
miTTi ko parwa hi nahin
kis ka chand hai kis ka lal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.