barish ke qatre ke dukh se na-waqif ho
bārish ke qatre ke dukh se nā-vāqif ho
tum hañste chehre ke dukh se nā-vāqif ho
tum ne sirf bichhaḌ jaane kā karb sahā hai
pā kar kho dene ke dukh se nā-vāqif ho
ek hī chhat ke nīche rahte haiñ ham lekin
tum mere lahje ke dukh se nā-vāqif ho
saath kisī ke rah kar jo tanhā kaTtā hai
tum aise lamhe ke dukh se nā-vāqif ho
hāthoñ kī chūḌī kī zabān samajh lete ho
phaile hue gajre ke dukh se nā-vāqif ho
jo manzil tak jā ke aur kahīñ muḌ jaa.e
tum aise raste ke dukh se nā-vāqif ho
barish ke qatre ke dukh se na-waqif ho
tum hanste chehre ke dukh se na-waqif ho
tum ne sirf bichhaD jaane ka karb saha hai
pa kar kho dene ke dukh se na-waqif ho
ek hi chhat ke niche rahte hain hum lekin
tum mere lahje ke dukh se na-waqif ho
sath kisi ke rah kar jo tanha kaTta hai
tum aise lamhe ke dukh se na-waqif ho
hathon ki chuDi ki zaban samajh lete ho
phaile hue gajre ke dukh se na-waqif ho
jo manzil tak ja ke aur kahin muD jae
tum aise raste ke dukh se na-waqif ho
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 03.05.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.