barish thi aur abr tha dariya tha aur bas
bārish thī aur abr thā dariyā thā aur bas
jaagī to mere sāmne sahrā thā aur bas
aayā hī thā ḳhayāl ki phir dhuup Dhal ga.ī
bādal tumhārī yaad kā barsā thā aur bas
aisā bhī intizār nahīñ thā ki mar ga.e
haañ ik diyā darīche meñ rakkhā thā aur bas
tum the na koī aur thā aahaT na koī chaap
maiñ thī udaas dhuup thī rasta thā aur bas
yuuñ to paḌe rahe mire pairoñ meñ māh-o-sāl
muTThī meñ merī ek hī lamha thā aur bas
barish thi aur abr tha dariya tha aur bas
jagi to mere samne sahra tha aur bas
aaya hi tha KHayal ki phir dhup Dhal gai
baadal tumhaari yaad ka barsa tha aur bas
aisa bhi intizar nahin tha ki mar gae
han ek diya dariche mein rakkha tha aur bas
tum the na koi aur tha aahaT na koi chap
main thi udas dhup thi rasta tha aur bas
yun to paDe rahe mere pairon mein mah-o-sal
muTThi mein meri ek hi lamha tha aur bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.