barishon mein khiDkiyan khuli nahin
bārishoñ meñ khiḌkiyāñ khulī nahīñ
manzaroñ kī siskiyāñ thamī nahīñ
laḌkiyoñ ke ḳhvāb būḌhe ho ga.e
hasratoñ kī Doliyāñ uThī nahīñ
bag meñ paḌe rahe hamāre ḳhat
kashtiyāñ kināroñ pe lagī nahīñ
deviyoñ ke paañv ḳhuuñ se bhar ga.e
mandiroñ kī ghanTiyāñ bajī nahīñ
phir ḳhizāñ ko daḳhl denā paḌ gayā
bel aur fasīl meñ banī nahīñ
hijratoñ ke phuul kāḌhte hue
zindagī kī ungliyāñ thakī nahīñ
jang ḳhatm ho ga.ī magar abhī
qaidiyoñ kī rassiyāñ khulī nahīñ
vo bhī sahn se palaT ga.ī 'munīr'
raushnī bhī sīḌhiyāñ chaḌhī nahīñ
barishon mein khiDkiyan khuli nahin
manzaron ki siskiyan thami nahin
laDkiyon ke KHwab buDhe ho gae
hasraton ki Doliyan uThi nahin
bag mein paDe rahe hamare KHat
kashtiyan kinaron pe lagi nahin
dewiyon ke panw KHun se bhar gae
mandiron ki ghanTiyan baji nahin
phir KHizan ko daKHl dena paD gaya
bel aur fasil mein bani nahin
hijraton ke phul kaDhte hue
zindagi ki ungliyan thaki nahin
jang KHatm ho gai magar abhi
qaidiyon ki rassiyan khuli nahin
wo bhi sahn se palaT gai 'munir'
raushni bhi siDhiyan chaDhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.