baat agar na karni thi kyun chaman mein aae the
baat agar na karni thi kyun chaman mein aae the
Kalidas Gupta Raza
MORE BYKalidas Gupta Raza
baat agar na karnī thī kyuuñ chaman meñ aa.e the
rañg kyuuñ bikherā thā phuul kyuuñ khilā.e the
be-karāñ ḳhalāoñ kī had bhī bāñdh denī thī
jab zamīñ banā.ī thī āsmāñ banā.e the
be-adab na the ham kuchh apnī bhuul itnī thī
aap tak pahuñch kar bhī aap meñ na aa.e the
āñsuoñ kī chādar ne Dhak diyā hameñ varna
maañg bhī sajā.ī thī ḳhvāb bhī sajā.e the
aaj tere charnoñ kā ruup hī nirālā hai
aaj phuul puujā ke dhuul se uThā.e the
ai 'razā' haqīqat to ab gale paḌī varna
boī thiiñ ghaTā.eñ bhī chāñd bhī ugaa.e the
baat agar na karni thi kyun chaman mein aae the
rang kyun bikhera tha phul kyun khilae the
be-karan KHalaon ki had bhi bandh deni thi
jab zamin banai thi aasman banae the
be-adab na the hum kuchh apni bhul itni thi
aap tak pahunch kar bhi aap mein na aae the
aansuon ki chadar ne Dhak diya hamein warna
mang bhi sajai thi KHwab bhi sajae the
aaj tere charnon ka rup hi nirala hai
aaj phul puja ke dhul se uThae the
ai 'raza' haqiqat to ab gale paDi warna
boi thin ghaTaen bhi chand bhi ugae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.