baat-be-baat ye tana ye malamat kya hai
bāt-be-bāt ye ta.ana ye malāmat kyā hai
yahī hotī hai mohabbat to adāvat kyā hai
karvaTeñ letā hai har dard tirā sub.h talak
chāñdnī raat se ai dil tujhe vahshat kyā hai
ek us ke liye kitnoñ se burā.ī le lī
ab ḳhudā jaane use mujh se shikāyat kyā hai
ik yaqīñ kī hai harārat ki koī hai apnā
aur is ke sivā jismoñ meñ harārat kyā hai
jab zamīnoñ se na.ī koī ta.alluq hī nahīñ
koī pūchhe hameñ hijrat kī zarūrat kyā hai
baat-be-baat ye tana ye malamat kya hai
yahi hoti hai mohabbat to adawat kya hai
karwaTen leta hai har dard tera subh talak
chandni raat se ai dil tujhe wahshat kya hai
ek us ke liye kitnon se burai le li
ab KHuda jaane use mujh se shikayat kya hai
ek yaqin ki hai hararat ki koi hai apna
aur is ke siwa jismon mein hararat kya hai
jab zaminon se nai koi talluq hi nahin
koi puchhe hamein hijrat ki zarurat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.