baat bhi un se kar nahin aati
baat bhī un se kar nahīñ aatī
aañkh bhī apnī bhar nahīñ aatī
maut aatī hai dahr meñ sab ko
āshiqoñ ko magar nahīñ aatī
jaan to apnī aa ga.ī lab par
koī un kī ḳhabar nahīñ aatī
mai se bhī ġham ġhalat nahīñ hotā
tab.a ab mauj par nahīñ aatī
nā-umīdī kī ab ye sūrat hai
koī ummīd bar nahīñ aatī
nāma-bar kī bhī ho ḳhabar yā-rab
koī us kī ḳhabar nahīñ aatī
jo duā sū-e-arsh jaatī hai
ho ke phir bā-asar nahīñ aatī
kis tavaqqo pe ham ji.eñ 'rahbar'
ik tamanna bhī bar nahīñ aatī
baat bhi un se kar nahin aati
aankh bhi apni bhar nahin aati
maut aati hai dahr mein sab ko
aashiqon ko magar nahin aati
jaan to apni aa gai lab par
koi un ki KHabar nahin aati
mai se bhi gham ghalat nahin hota
taba ab mauj par nahin aati
na-umidi ki ab ye surat hai
koi ummid bar nahin aati
nama-bar ki bhi ho KHabar ya-rab
koi us ki KHabar nahin aati
jo dua su-e-arsh jati hai
ho ke phir ba-asar nahin aati
kis tawaqqo pe hum jien 'rahbar'
ek tamanna bhi bar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.