baat itni tu meri man baDa achchha hai
baat itnī tū mirī maan baḌā achchhā hai
terā lahja ye mirī jaan baḌā achchhā hai
tere chehre ke sivā koī na dekhūñ chehra
terī jānib se ye farmān baḌā achchhā hai
aisī bātoñ se hameñ koī sarokār nahīñ
achchhī giitā hai ki qur.ān baḌā achchhā hai
us ke kahne pe jalā.ī ga.ī saarī bastī
terā kahnā hai ki sultān baḌā achchhā hai
baat itni tu meri man baDa achchha hai
tera lahja ye meri jaan baDa achchha hai
tere chehre ke siwa koi na dekhun chehra
teri jaanib se ye farman baDa achchha hai
aisi baaton se hamein koi sarokar nahin
achchhi gita hai ki quran baDa achchha hai
us ke kahne pe jalai gai sari basti
tera kahna hai ki sultan baDa achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.