baat jhuTi asar KHayali hai
baat jhūTī asar ḳhayālī hai
sarfaroshī kā sar ḳhayālī hai
kaT ga.ī ḳhvāb TūTne meñ umr
ya.anī saarā safar ḳhayālī hai
bhā.ī-chāra ḳhulūs āshtī amn
hai sabhī kuchh magar ḳhayālī hai
jalte rahnā charāġh-e-shab mire saath
hijr bhārī sahar ḳhayālī hai
aate jaate rahā karo is par
dil meñ ik rahguzar ḳhayālī hai
nange paaoñ koī nahīñ aatā
ab to har dopahar ḳhayālī hai
baat jhuTi asar KHayali hai
sarfaroshi ka sar KHayali hai
kaT gai KHwab TuTne mein umr
yani sara safar KHayali hai
bhai-chaara KHulus aashti amn
hai sabhi kuchh magar KHayali hai
jalte rahna charagh-e-shab mere sath
hijr bhaari sahar KHayali hai
aate jate raha karo is par
dil mein ek rahguzar KHayali hai
nange paon koi nahin aata
ab to har dopahar KHayali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.