baat kar dil sati hijab nikal
baat kar dil satī hijāb nikāl
ġhuncha-e-lab satī gulāb nikāl
shab-e-hijrāñ kī tīrgī kar duur
husn-e-tābāñ kā āftāb nikāl
bait-e-abrū kā dars de mujh kuuñ
fard-e-dīvān-e-intiḳhāb nikāl
bul-havas band-e-uqda-e-ġham hai
zulf-e-mushkīñ siiñ pech-o-tāb nikāl
munhasir nahīñ hai gosha-gīrī par
dil siiñ yaksū ho sab hisāb nikāl
takiya-e-maḳhmalī sirhāne rakh
lekin āñkhoñ siiñ apnī ḳhvāb nikāl
mastī-e-ishq gar tujhe hai 'sirāj'
shīsha-e-chashm siiñ sharāb nikāl
baat kar dil sati hijab nikal
ghuncha-e-lab sati gulab nikal
shab-e-hijran ki tirgi kar dur
husn-e-taban ka aaftab nikal
bait-e-abru ka dars de mujh kun
fard-e-diwan-e-intiKHab nikal
bul-hawas band-e-uqda-e-gham hai
zulf-e-mushkin sin pech-o-tab nikal
munhasir nahin hai gosha-giri par
dil sin yaksu ho sab hisab nikal
takiya-e-maKHmali sirhane rakh
lekin aankhon sin apni KHwab nikal
masti-e-ishq gar tujhe hai 'siraj'
shisha-e-chashm sin sharab nikal
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 452)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.