baat karen yun munh na kholen
baat kareñ yuuñ muñh na kholeñ
dil kī bāteñ āñkheñ boleñ
kaise tanhā raat kaTegī
yādoñ kī gaThrī hī kholeñ
bahut jiye auroñ kī ḳhātir
ab to kuchh apne bhī ho leñ
ḳhvāboñ ke kuchh biij chune haiñ
āñkhoñ ke khetoñ meñ bo leñ
har lamha ik bojh lage hai
jaise bhī Dhonā ho Dho leñ
baat karen yun munh na kholen
dil ki baaten aankhen bolen
kaise tanha raat kaTegi
yaadon ki gaThri hi kholen
bahut jiye auron ki KHatir
ab to kuchh apne bhi ho len
KHwabon ke kuchh bij chune hain
aankhon ke kheton mein bo len
har lamha ek bojh lage hai
jaise bhi Dhona ho Dho len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.