baat karni hai to aa ab fikr-o-fan ki baat kar
baat karnī hai to aa ab fikr-o-fan kī baat kar
ham-navā ai ham-nafas ham se suḳhan kī baat kar
baaġh kī bulbul kī ġhunchoñ kī chaman kī baat kar
is zamīñ kī baat kar tū is gagan kī baat kar
jism par nashtar ke haiñ gar zaḳhm to bhar jā.eñge
ruuh tak zaḳhmī ho jis se us chubhan kī baat kar
sinf-e-nāzuk ko agar denī hai izzat dil se de
dar-guzar kar de ḳhatā.eñ husn-e-zan kī baat kar
apne dāman meñ sameTe ashk aaheñ siskiyāñ
bin-biyāhī laḌkiyoñ kī is ghuTan kī baat kar
ho darindoñ kī nazar jis par burī sub.h-o-masā
phuul sī bachchī ke khulte bāñkpan kī baat kar
haiñ vahī hālāt to kaise kaheñ kyoñ kar kaheñ
titliyoñ kī fasl-e-gul lāla-badan kī baat kar
muflisī ne rakh diyā hai chīthaḌoñ meñ baañT kar
ab ridā kī baat karnā pairahan kī baat kar
aadmī ko aadmī se is qadar nafrat hai kyoñ
buġhz kiina dushmanī ġhībat jalan kī baat kar
TuuT kar chāhe mujhe aur jaan tak qurbāñ kare
mere is dilbar kī is bāñke sajan kī baat kar
jab zarūrat ho junūñ kī baat kar 'shahnāz' se
zindagī kī baat kar dār-o-rasan kī baat kar
baat karni hai to aa ab fikr-o-fan ki baat kar
ham-nawa ai ham-nafas hum se suKHan ki baat kar
bagh ki bulbul ki ghunchon ki chaman ki baat kar
is zamin ki baat kar tu is gagan ki baat kar
jism par nashtar ke hain gar zaKHm to bhar jaenge
ruh tak zaKHmi ho jis se us chubhan ki baat kar
sinf-e-nazuk ko agar deni hai izzat dil se de
dar-guzar kar de KHataen husn-e-zan ki baat kar
apne daman mein sameTe ashk aahen siskiyan
bin-biyahi laDkiyon ki is ghuTan ki baat kar
ho darindon ki nazar jis par buri subh-o-masa
phul si bachchi ke khulte bankpan ki baat kar
hain wahi haalat to kaise kahen kyon kar kahen
titliyon ki fasl-e-gul lala-badan ki baat kar
muflisi ne rakh diya hai chithaDon mein banT kar
ab rida ki baat karna pairahan ki baat kar
aadmi ko aadmi se is qadar nafrat hai kyon
bughz kina dushmani ghibat jalan ki baat kar
TuT kar chahe mujhe aur jaan tak qurban kare
mere is dilbar ki is banke sajan ki baat kar
jab zarurat ho junun ki baat kar 'shahnaz' se
zindagi ki baat kar dar-o-rasan ki baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.