baat ki baat se Dar lagta hai
baat kī baat se Dar lagtā hai
is musāvāt se Dar lagtā hai
tum koī baat samajhte hī nahīñ
bas isī baat se Dar lagtā hai
jis meñ koī na mile apne sivā
us mulāqāt se Dar lagtā hai
dil ba-zid hai ki vahī baat kaho
sab ko jis baat se Dar lagtā hai
raaz kī baat to koī bhī nahīñ
arz-e-hālāt se Dar lagtā hai
jin meñ garmī na ujāle na mahak
aise din-rāt se Dar lagtā hai
ḳhud ko parkhā to ye samjhe 'anjum'
kyuuñ kisī zaat se Dar lagtā hai
baat ki baat se Dar lagta hai
is musawat se Dar lagta hai
tum koi baat samajhte hi nahin
bas isi baat se Dar lagta hai
jis mein koi na mile apne siwa
us mulaqat se Dar lagta hai
dil ba-zid hai ki wahi baat kaho
sab ko jis baat se Dar lagta hai
raaz ki baat to koi bhi nahin
arz-e-haalat se Dar lagta hai
jin mein garmi na ujale na mahak
aise din-raat se Dar lagta hai
KHud ko parkha to ye samjhe 'anjum'
kyun kisi zat se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.