baat kije ghair se aur humse munh ko moDiye
baat kije ghair se aur humse munh ko moDiye
Fakhruddin Khan Mahir
MORE BYFakhruddin Khan Mahir
baat kiije ġhair se aur ham se muñh ko moḌiye
Tuk ḳhudā se Dariye in vaz.aoñ ko apnī chhoḌiye
muñh na moḌegā ye aasī gar yūñhī manzūr hai
lījiye sañg-e-jafā aur shīsha-e-dil toḌiye
toḌnā dil kā tumhāre aage go āsān hai
par tumheñ tab jāneñ jab TuuTe bhī dil ko joḌiye
yār-e-be-parvā-o-janib-dār us kī ḳhalq sab
haa.e kis ke sāmne jā sar ko apne phoḌiye
toḌ kar kuchh us se 'māhir' ham ko ban aatā nahīñ
dil meñ hai phir us ke aage haath apne joḌiye
baat kije ghair se aur hum se munh ko moDiye
Tuk KHuda se Dariye in wazaon ko apni chhoDiye
munh na moDega ye aasi gar yunhi manzur hai
lijiye sang-e-jafa aur shisha-e-dil toDiye
toDna dil ka tumhaare aage go aasan hai
par tumhein tab jaanen jab TuTe bhi dil ko joDiye
yar-e-be-parwa-o-janib-dar us ki KHalq sab
hae kis ke samne ja sar ko apne phoDiye
toD kar kuchh us se 'mahir' hum ko ban aata nahin
dil mein hai phir us ke aage hath apne joDiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.