baat kuchh hosh ki nahin malum
baat kuchh hosh kī nahīñ ma.alūm
vaj.h-e-dīvāngī nahīñ ma.alūm
ye zamāna hai gosh-bar-āvāz
kis ne āvāz dī nahīñ ma.alūm
apnī manzil pe aa gayā huuñ magar
kis ne kī rahbarī nahīñ ma.alūm
uf vo un kā tasavvur-e-rangīñ
kab sahar ho ga.ī nahīñ ma.alūm
ishq kī be-ḳhudī samajhtā huuñ
husn kī be-ruḳhī nahīñ ma.alūm
ziist ke pech-o-ḳham se vāqif huuñ
zulf kī barhamī nahīñ ma.alūm
maiñ añdheroñ meñ kho gayā huuñ 'muhib'
hai kahāñ raushnī nahīñ ma.alūm
baat kuchh hosh ki nahin malum
wajh-e-diwangi nahin malum
ye zamana hai gosh-bar-awaz
kis ne aawaz di nahin malum
apni manzil pe aa gaya hun magar
kis ne ki rahbari nahin malum
uf wo un ka tasawwur-e-rangin
kab sahar ho gai nahin malum
ishq ki be-KHudi samajhta hun
husn ki be-ruKHi nahin malum
zist ke pech-o-KHam se waqif hun
zulf ki barhami nahin malum
main andheron mein kho gaya hun 'muhib'
hai kahan raushni nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.