baat kya hai ye bataen to sahi
baat kyā hai ye batā.eñ to sahī
guftugū aage baḌhā.eñ to sahī
jaan jā.eñge kharā khoTā hai kyā
aap mujh ko āzmā.eñ to sahī
uñgliyāñ uTTheñgī chāroñ aap par
aap ik uñglī uThā.eñ to sahī
banda-parvar nā-umīdī kufr hai
ik diyā phir se jalā.eñ to sahī
chāñd taare muntazir haiñ aap ke
āsmāñ tak aap jaa.eñ to sahī
vasl kar degā ḳhizāñ ko fasl-e-gul
phuul bāloñ meñ lagā.eñ to sahī
dekhiye suniye are jaane bhī deñ
aap mere saath aa.eñ to sahī
ḳhud ko rakh kar bhuul baiThī huuñ kahīñ
maiñ kahāñ huuñ kuchh batā.eñ to sahī
aap to bas ghar banā kar rah ga.e
aap is ghar ko basā.eñ to sahī
chuTkiyoñ meñ bhuul jā.ūñgī unheñ
ab mujhe vo yaad aa.eñ to sahī
niiñd āñkhoñ se ḳhafā ho jā.egī
ḳhvāb palkoñ par sajā.eñ to sahī
jaan le lūñgī qasam allāh kī
bhuul kar mujh ko bhulā.eñ to sahī
āzmāne ke liye qismat 'sabīn'
dil ko daav par lagā.eñ to sahī
baat kya hai ye bataen to sahi
guftugu aage baDhaen to sahi
jaan jaenge khara khoTa hai kya
aap mujh ko aazmaen to sahi
ungliyan uTThengi chaaron aap par
aap ek ungli uThaen to sahi
banda-parwar na-umidi kufr hai
ek diya phir se jalaen to sahi
chand tare muntazir hain aap ke
aasman tak aap jaen to sahi
wasl kar dega KHizan ko fasl-e-gul
phul baalon mein lagaen to sahi
dekhiye suniye are jaane bhi den
aap mere sath aaen to sahi
KHud ko rakh kar bhul baiThi hun kahin
main kahan hun kuchh bataen to sahi
aap to bas ghar bana kar rah gae
aap is ghar ko basaen to sahi
chuTkiyon mein bhul jaungi unhen
ab mujhe wo yaad aaen to sahi
nind aankhon se KHafa ho jaegi
KHwab palkon par sajaen to sahi
jaan le lungi qasam allah ki
bhul kar mujh ko bhulaen to sahi
aazmane ke liye qismat 'sabin'
dil ko daw par lagaen to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.