baat kya jaane aa gai dil mein
baat kyā jaane aa ga.ī dil meñ
maañ mirā jī nahīñ lagā mill meñ
yaar phūloñ se ḳhūbsūrat hai
ya.anī kāñTā paḌā rahe dil meñ
ham ko kiiḌā banā ke dhartī par
rizq mahfūz kar diyā sil meñ
paanī har chiiz kā jad-e-amjad
rāz-e-kun rakh diyā gayā gil meñ
vaise mahfil to saarī apnī hai
koī apnā nahīñ hai mahfil meñ
merī āñkhoñ meñ ab bhī chaltī haiñ
bhūle bisre dinoñ kī sab filmeñ
terī āvāz par maiñ niklā thā
zindagī chhup ga.ī kahāñ bil meñ
chhā gayā hai chahār-sū sakta
yaar niklā hai surḳh mahmil meñ
aaj phir yaar hai hamārī chup
jān-e-‘rāshid’ hai aaj mahfil meñ
baat kya jaane aa gai dil mein
man mera ji nahin laga mill mein
yar phulon se KHubsurat hai
yani kanTa paDa rahe dil mein
hum ko kiDa bana ke dharti par
rizq mahfuz kar diya sil mein
pani har chiz ka jad-e-amjad
raaz-e-kun rakh diya gaya gil mein
waise mahfil to sari apni hai
koi apna nahin hai mahfil mein
meri aankhon mein ab bhi chalti hain
bhule bisre dinon ki sab filmen
teri aawaz par main nikla tha
zindagi chhup gai kahan bil mein
chha gaya hai chahaar-su sakta
yar nikla hai surKH mahmil mein
aaj phir yar hai hamari chup
jaan-e-‘rashid’ hai aaj mahfil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.